imtiyaz-e-husn-o-ulfat aashkara ho gaya tum na mere ho sake aur main tumhaara ho gaya jaane kya dil ko mohabbat mein sahaara ho gaya ya khushi bhi bar thi ya gham gawara ho gaya main kahan aur jurat-e-arz-e-niyaz-e-dil kahan han magar tera hi dar-parda ishaara ho gaya kya mohabbat dar-haqiqat hai mohabbat ka jawab tum bhi ho jaoge us ke jo tumhaara ho gaya qalb-e-jurat-azma kuchh fitratan bebak hai aur agar aise mein tera bhi ishaara ho gaya shiddat-e-gham aur phir takid-e-zabt-e-ah bhi lekin ek majbur-e-ulfat ko gawara ho gaya ab to har ek baat par aankhon mein bhar aate hain ashk chaar din mein haal kya 'nakhshab' tumhaara ho gaya