ab ke baras gulshan mein na jaane kaisi hawa lahrai hai mausam mausam gard-aluda sari faza dhundlai hai mustaqbil ke khwab sajae apni apni aankhon mein sare padosi jag rahe hain aur hamein nind aai hai kaun kise ab sar karta hai waqt hi ye batlaega ek taraf hai azm-e-musammam ek taraf darai hai sath-e-zamin ka har ek khitta dub raha hai pani mein aise mein kya andaza ho kitni kahan gahrai hai hum ko mashinon ki shorish se hoti hai ghabrahat si khamoshi ki chahat hum ko gaon mein phir le aai hai is bare mein kuchh batla kar aap wazahat rahne den kis ne dil ko zakhm diye hain kis ki karam-farmai hai koi bura kya mane 'shahzar' saudai ki baaton ka danish-war phir danish-war hai saudai saudai hai