basti hai tarik ujale karta ja neki kar dariya ke hawale karta ja padhne ki fursat na sahi lekin phir bhi apne ghar mein jama risale karta ja sham-o-sahar pathrile raston pe chal kar khud apne pairon mein chhaale karta ja barson se jo band hue hain logon par dur un darwazon se tale karta ja duniya ke dhandon mein uljha de khud ko apne sare ghar mein jale karta ja kaun padhega teri kitab-e-hasti ko lakh bhi is ke safhe kale karta ja apni kahani pahuncha de ek ek ghar tak baqi qisse bhulne wale karta ja nam adab mein tera bhi chamkega 'hunar' zehn apna lafzon ke hawale karta ja