ab ke baras honTon se mere tishna-labi bhi KHatm hui

ab ke baras honton se mere tishna-labi bhi khatm hui
tujh se milne ki ai dariya majburi bhi khatm hui

kaisa pyar kahan ki ulfat ishq ki baat to jaane do
mere liye ab us ke dil se hamdardi bhi khatm hui

samne wali building mein ab kaam hai bas aaraish ka
kal tak jo milti thi hamein wo mazduri bhi khatm hui

jail se wapas aa kar us ne pancho waqt namaz padhi
munh bhi band hue sab ke aur badnami bhi khatm hui

jis ki jal-dhaara se basti wale jiwan pate the
rasta badalte hi naddi ke wo basti bhi khatm hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close