tere baad koi bhi gham asar nahin kar saka koi saneha meri aankh tar nahin kar saka mujhe ilm tha mujhe kam padegi ye raushni so main inhisar charagh par nahin kar saka mujhe jhut ke wo jawaz pesh kiye gae kisi baat par main agar-magar nahin kar saka mujhe chaal chalne mein der ho gai aur main koi ek mohra idhar-udhar nahin kar saka kai paikaron ko mere khayal ne shakl di jinhen runuma mera kuza-gar nahin kar saka mere aas-pas ki muflisi meri mazarat tera intizam main apne ghar nahin kar saka