ab ke baras hun jitna tanha pahle kahan tha utna tanha duniya ek samundar jis mein main hun koi jazira tanha zist safar hai tanhai ka aana tanha jaana tanha us ko batao jism se kat kar rah nahin sakta saya tanha uf ye mauj-e-tufan-e-alam hae dil ka safina tanha jis ko chaha jaan se badh kar aakhir us ne chhoda tanha ghar se bahar niklo kisi din itna bhi kya rahna tanha ab wo kahin aur main hun kahin umr kategi tanha tanha 'kashir' ki hai apni hi duniya hoga kahin par baitha tanha