is shahr-e-sang-e-sakht se ghabra gaya hun main jangal ki khushbuon ki taraf ja raha hun main manzar ko dekh dekh ke aankhen chali gain hathon se aaj apna badan dhundhta hun main chilla raha hai koi mere lams ke liye andhiyari wadiyon se nikal bhagta hun main qatil ke hath mein koi talwar hai na tegh wo muskura raha hai mara ja raha hun main mujh ko wo mere dil ke ewaz de sakenge kya 'mamun' duniya walon se kya mangta hun main