ab ke bikhra to main yakja nahin ho paunga tere hathon se bhi waisa nahin ho paunga mujh ko bimar karegi teri aadat ek din aur phir tujh se bhi achchha nahin ho paunga ye to mumkin hai ki ho jaun tera khair-andesh han magar is se ziyaada nahin ho paunga ab meri zat mein bas ek ki gunjaish hai main hua dhup to saya nahin ho paunga yun to mushkil hi bahut hai mera hath aana aur hath aaya to gawara nahin ho paunga tu badi der se aaya mujhe zinda karne ab nami pa ke bhi sabza nahin ho paunga mujh mein itni nahin tasir masihai ki zakhm bhar sakta hun isa nahin ho paunga in dinon aql ki chalti hai hukumat dil pe main jo chahun bhi tumhaara nahin ho paunga itna aabaad hai tujh se mere andar ka shahr tujh se bichhda bhi to sahra nahin ho paunga