niklo hisar-e-zat se to kuchh sujhai de gumbad mein bazgasht-e-sada hi sunai de har ek ufuq fareb-e-nazar hai ki aasman jhuk kar gale zamin ke milta dikhai de ya tod de ba-pas-e-ana kasa khud gada warna dar-e-bakhil ki ya-rab gadai de mashriq mein aadmi ko agar phans bhi chubhe maghrib ka har makin tadap kar duhai de qahr-e-khuda khudaon ke hain qahr ku-ba-ku aashob-e-shahr mein na duhai sunai de 'rahmat' charagh-e-khana-e-darwesh hai hayat ya-rab! koi to chand sa chehra dikhai de