ab ke mausam mein koi khwab sajaya hi nahin zard patton ko hawaon ne giraya hi nahin dekh kar jis ko thahar jaen musafir ke qadam aisa manzar to koi rah mein aaya hi nahin kyun tere waste is dil mein jagah hai warna koi chehra meri aankhon mein samaya hi nahin us ne bhi mang liya aaj mohabbat ka subut ek lamhe ke liye jis ko bhulaya hi nahin mujh ko tanhai ne ghera hai kai bar magar us ki yaadon ne magar sath nibhaya hi nahin jis ki khushbu se mahakte mere ghar ke dar-o-baam waqt ne rang koi aisa dikhaya hi nahin raushni apne muqaddar kahan hogi 'shabin' jab diya hum ne andheron mein jalaya hi nahin