ye to socha hi nahin us ko juda karte hue chun liya hai gham bhi khushiyon ko riha karte hue jin charaghon par bharosa tha unhon ne aakhirash sazishen kar lin hawaon se dagha karte hue aankh ke sanduqche mein band hai ek sail-e-dard dar rahi hun qufl un palkon ke wa karte hue jaanti thi kab bhatakti hi rahegi dar-ba-dar ham-safar apna sahabon ko ghata karte hue dost ko pahchanti thin aankhen na dushman koi phod dala hai unhen apni saza karte hue