ab ke phir rah nai panw ke chhaale nae the chaaragar bhi the nae dekhne wale nae the us ki chahat mein kami aa na saki waqt ke sath muddaton baad bhi kapde jo nikale nae the waqt ke sath badalti hai sukhan-fahmi bhi main wahi tha pa mere chahne wale nae the main ne bhi tanz ki tarkib badal kar rakh di par harifon ne bhi jumle jo uchhaale nae the in charaghon ko hawaon ne sikhaya hai zarur jin ki mitti thi wahi jin ke ujale nae the muttafiq kis tarah hota main teri baaton se na dalilen thin nai aur na hawale nae the koi manzar teri aankhon ko bhala kya lagta main ne dekha tha ki un mein pade jale nae the main kisi se koi shikwa bhi karun to kyon kar na nae chand the mahfil mein na haale nae the sach ko har daur mein suli pe chadhaya sab ne waqt ke hath mein suqraat ke pyale nae the muflisi kha gai ummid ke mausam ka surur main ne wo khwab jo aankhon se nikale nae the