bahane dhund ke late the yar ek se ek hamare sath rahe gham-gusar ek se ek kahan kahan pe aqidon se sar jhukae koi qadam qadam pe hain parwardigar ek se ek falak pe ho ki na ho khak-ru koi maujud zamin par hain sitara-shiar ek se ek tumhin nahin ho namaz-e-shab-e-wafa ke amin pade hue hain tahajjud-guzar ek se ek abhi to sirf taaqub meri zamin ka hai abhi to honge hawa mein shikar ek se ek kise kise main banaun nigah ka markaz ki jaan ek hai aur jaan-nisar ek se ek koi na koi banaega ishq ke kuze wafa ka chaak salamat kumhaar ek se ek ek aaine ne mere kan mein kaha 'harshit' tumhi nahin hain yahan daghdar ek se ek