ab ke qimar-e-ishq bhi Thahra ek hunar danai ka

ab ke qimar-e-ishq bhi thahra ek hunar danai ka
shauq bhi tha is khel ka hum ko khauf bhi tha ruswai ka

bas wahi ek be-kaif udasi bas wahi banjar sannata
sau sau rang milan ke dekhe ek hi rang judai ka

pyar ki jang mein yaro hum ne do hi khadshe dekhe hain
pahle-pahal tha khauf-e-asiri ab hai khauf rihai ka

apni hawa mein yun phirta tha jaise bagula sahra mein
hum ne jab dekha to ajab tha haal tere saudai ka

ajnabi chehre takte rahna shahr ki chalti rahon par
apni samajh mein ab aaya hai ye pahlu tanhai ka

aankhen apni band thin jab tak haal pe apne roe bahut
aankh khuli to dekha haal yahi tha sari khudai ka

dil ki zamin par boe the 'baqar' bij jo dard judai ke
chaliye ab wo fasl khadi hai waqt aaya hai katai ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close