kal hum ghurur-e-fan ki rawani mein phans gae ula likha tha misra-e-sani mein phans gae bach ke nikal gae jo reaya ko bech kar bad-qismati se bijli o pani mein phans gae likkhi thin us ke jism pe aisi ibaraten hum is ghazal ke lafz o maani mein phans gae majbur ho ke dene lage hijraton ka nam jab bhi buzurg naql-e-makani mein phans gae aakhir mein film-saz heroine ko le gaya jitne the film-bin kahani mein phans gae har sal naunihaal ki aamad gawah hai hum ishq ki yaqin-dahani mein phans gae urdu ke imtihan mein cheating ke bawajud 'haali' pe note likh diya 'fani' mein phans gae hum ne to khud qubul kaha tha khushi khushi ab tak hai gham ki ain-jawani mein phans gae chacha ko mil gai thin chachi mal-dar si mamun tamam umr mamani mein phans gae jo ashk bantte the bane 'mir' o 'josh' o 'faiz' hum lafz ki shagufta-bayani mein phans gae