ab ke sahra mein ajab barish ki arzani hui fasl-e-imkan ko numu karne mein aasani hui pyas ne aab-e-rawan ko kar diya mauj-e-sarab ye tamasha dekh kar dariya ko hairani hui sar se sare khwan khushbu ke bikhar kar rah gae khak-e-khema tak hawa pahunchi to diwani hui dur tak udne lagi gard-e-sada zanjir ki kis qadar diwar-e-zindan ko pashemani hui tum hi sadiyon se ye nahren band karte aae ho mujh ko lagti hai tumhaari shakl pahchani hui