fughan se tark-e-fughan tak hazar tishna-labi hai sukut bhi to ek andaz-e-muddaa-talabi hai bahut dinon mein hua ahl-e-arzu ko mayassar wo qurb-e-khas jahan teri yaad be-adabi hai khayal-e-tark-e-talluq junun-e-qat-e-marasim tamam sai-e-talab hai tamam tishna-labi hai sukut-e-shoala-e-gul hai ki tera paikar-e-rangin wo aanch aati hai jaise badan mein aag dabi hai usi ke faiz se aashob-e-agahi hai gawara nigah-e-naz hai ya mauj-e-baada-e-unabi hai na jaane kis tarah tai hoga tishnagan-e-karam se wo marhala ki jahan arz-e-haal be-adabi hai faza to naghma-e-gul se bhi chaunk uthi hai lekin teri shagufta-labi phir wahi shagufta-labi hai