ab ke wahshat mein koi rah nikalunga main KHud

ab ke wahshat mein koi rah nikalunga main khud
dasht wo de wahan diwar bana lunga main khud

kyon koi mere parindon ki nigah-dari kare
zakhm khud pale hain to in ko sanbhaalunga main khud

aap bas mujh ko mera chaak inayat kar den
apni mitti se koi shakl bana lunga main khud

mere ghasib se kaho mera kharaba mujhe de
ban pada mujh se to ye shahr basa lunga main khud

mere dushman se kaho aab-e-baqa hai to pilae
zahr ka kya hai kisi roz ye kha lunga main khud

tujh se milta koi mil jae to ai jaan-e-tilism
hu-bahu us ko tere jaisa bana lunga main khud

abr mushkil hai to chal saya-e-diwar hi de
jab chalunga to use sath chala lunga main khud

log kahte hain mere harf-e-dua mein hai asar
waqai hai to kabhi apni dua lunga main khud

meri ustad hai khud meri jibillat 'ahmad'
jaisi mitti ho qadam apne jama lunga main khud


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close