wahshat baras rahi hai diwane ki aankh se

wahshat baras rahi hai diwane ki aankh se
parkha hai us ne sach ko fasane ki aankh se

main munfarid nahin to zara mukhtalif to tha
dekha hai tu ne mujh ko zamane ki aankh se

ghaw mere badan pe nahin ruh par bhi hain
phenka tha us ne tir nishane ki aankh se

chaaron taraf hai ek hi surat saji hui
duniya ko dekh aaina-khane ki aankh se

hone pe apne zo'm tha mujh ko 'safi' magar
ab dekhta hun khud ko bahane ki aankh se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close