ab khun ko mai qalb ko paimana kaha jae is daur mein maqtal ko bhi mai-khana kaha jae jo baat kahi jae wo tewar se kahi jae jo sher kaha jae harifana kaha jae har hont ko murjhaya hua phul samajhiye har aankh ko chhalka hua paimana kaha jae sunsan hue jate hain khwabon ke jazire khwabon ke jaziron ko bhi virana kaha jae waiz ne jo farmaya tha mehrab-e-haram mein rindon se wo kyun saqi-e-mai-khana kaha jae tapte hue sahra mein bhi kuchh phul khilaen kab tak lab-o-rukhsar ka afsana kaha jae hum subh-e-bahaaran ki tamazat se jale hain hum se gul o shabnam ka na afsana kaha jae diwana har ek haal mein diwana rahega farzana kaha jae ki diwana kaha jae makhdum se hum ko bhi hai nisbat wahi 'manzur' rindon mein jise nisbat-e-paimana kaha jae