fitna utha to razm-gah-e-khak se utha suraj kisi ke pairhan-e-chaak se utha ye dil utha raha hai bade hausle ke sath wo bar jo zamin se na aflak se utha sab mojazon ke bab mein ye mojaza bhi ho jo log mar gae hain unhen khak se utha suraj ki zau charagh-e-shikasta ki lau se ho qulzum ki mauj dida-e-namnak se utha puchha jo us ne ahd-e-jarahat ka majra dariya lahu ka har rag-e-poshak se utha