ab kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhaare baad hua is dil ki jhil si aankhon mein ek khwab bahut barbaad hua ye hijr-hawa bhi dushman hai is nam ke sare rangon ki wo nam jo mere honton par khushbu ki tarah aabaad hua us shahr mein kitne chehre the kuchh yaad nahin sab bhul gae ek shakhs kitabon jaisa tha wo shakhs zabani yaad hua wo apne ganw ki galiyan thin dil jin mein nachta gata tha ab is se farq nahin padta nashad hua ya shad hua benam sataish rahti thi in gahri sanwli aankhon mein aisa to kabhi socha bhi na tha dil ab jitna bedad hua