muhasba kiya na jae is mein kis ka kya gaya na mujh se hi raha gaya na us se kuchh saha gaya ye dil se dil ka wasta bhi kitna dil-fareb hai jagi hai dil mein raushni ki tera dard bha gaya ye kis ke naqsh-e-pa pe sab ne eatibar kar liya ye kaun pesh-rau bana ki rasta bana gaya nazar mila ke us se meri baat tak nahin hui mere muamle mein jaane kaun kya laga gaya abhi bhi meri jeb mein hai raushni bachi hui andhera kis umid par mere qarib aa gaya ye nil mujh se kah raha hai tanz ki zaban mein wahan pe ja sada laga jahan tera asa gaya mujhe pata nahin malak ki kis maqam par hun main zaban se jo nikal gai use adab likha gaya