ab kise yara hai zabt-e-nala-o-faryaad ka bhar gaya hai gham se paimana dil-e-nashad ka jal raha tha aashiyana bas na tha karte hi kya dur se dekha kiye hum ye sitam sayyaad ka qalb-e-sozan mit ke bhi hangama-ara hi raha ban gaya bijli har ek zarra dil-e-nashad ka mausam-e-gul ki hawa aai na jis ko saz-war dil hai wo pazhmurda ghuncha aalam-e-ijad ka ya to ab aathon-pahar pesh-e-nazar ho ya kabhi dil dahal jata tha sun kar nam bhi sayyaad ka aaya qismat se usi din mujh ko paigham-e-ajal roz-e-akhir tha jo meri qaid ki miad ka dekh ibrat ki nazar se gham ke daghon ki bahaar safa-e-dil hai muraqqa gulshan-e-ijad ka dekhiye hota hai kyun kar aaj tai ye marhala main idhar hun sakht-jaan khanjar idhar faulad ka sahn-e-gulshan se qafas mein aa gaya wo musht-e-par ho gaya gulzar jis ke dam se ghar sayyaad ka sang-e-dil rote hain 'shoala' sun ke fariyaaden meri mom ho jata hai aahon se jigar faulad ka