apna khaliq khud hi tha mera khuda koi na tha is jahan mein mujh se pahle dusra koi na tha raat-bhar chalta raha tha chand mere sath sath dasht mein us ka kahin bhi naqsh-e-pa koi na tha fasle hi fasle the manzilen hi manzilen ham-safar koi na tha aur rahnuma koi na tha wo payambar tha khada tha ek gali ke mod par ajnabi basti mein us ko jaanta koi na tha dur tak phaili hui thin dard ki tanhaiyan do dilon ke darmiyan jab fasla koi na tha kis qadar sunsan thi us shahr-e-ulfat ki gali band the sare dariche jhankta koi na tha gunjti thin jab tumhaari yaad ki khamoshiyan dil ke virane nagar mein jagta koi na tha jism-o-jaan ki qaid mein rahna pada ek umr tak bach nikalne ka kahin bhi rasta koi na tha