ab koi aur musibat to na pali jae us ki yaadon se bhi ab jaan chhuda li jae wo bhi mere liye kuchh sochta hai sochta hun kaise dil se mere ye kham-khayali jae zist be-rabt hai par hai to khuda ki neamat jis tarah se bhi ye nibhti hai nibha li jae aise bhi dost hain kuchh jin ka yahi maqsad hai war kya un ki koi baat na khali jae yaad jis ki hamein sone nahin deti aksar us sitamgar ki bhi ab nind chura li jae us ke dar se main yahi soch ke laut aaya hun 'zeb' ab ke bhi na dastak meri khali jae