ai sitamgar nahin dekha jata zakhm dil par nahin dekha jata hum se zahid ko barabar apne lab-e-kausar nahin dekha jata dasht ki jis mein koi baat na ho hum se wo ghar nahin dekha jata hum ne dekha hi nahin jalwa-e-yar kahen kyun-kar nahin dekha jata dekhna shauq-e-shahadat mera mujh se khanjar nahin dekha jata tur par dekhne jate hain 'kalim' dil ke andar nahin dekha jata