ab koi baat badhane ki zarurat na rahi haal-e-dil un ko sunane ki zarurat na rahi masale ho gae be-rukh hi siyasat ke shikar koi aawaz uthane ki zarurat na rahi qafile dard ke khud dil se guzar jate hain raste un ko dikhane ki zarurat na rahi waqt wo hai ki hue donon ana se sarshaar zindagi sath nibhane ki zarurat na rahi apne aangan mein mile hum ko muqaffal rishte koi diwar uthane ki zarurat na rahi apni fitrat se 'asar' wo bhi shanawar nikla tairna us ko sikhane ki zarurat na rahi