der tak koi kisi se bad-guman rahta nahin wo wahan aata to hoga main jahan rahta nahin ek main hun dhup mein kitna safar tai kar liya ek tu hai jo kabhi be-saeban rahta nahin tum ko kyun pedon pe likkhe nam mitne ka hai dukh is badalti rut mein patthar par nishan rahta nahin wo bana leta hai apna ghonsla diwar mein jis parinde ka shajar mein aashiyan rahta nahin tu parindon ki tarah udne ki khwahish chhod de be-zamin logon ke sar par aasman rahta nahin