ab koi baat mulaqat pe mat chhoDiyega

ab koi baat mulaqat pe mat chhodiyega
haal kah dijega haalat pe mat chhodiyega

gate rahiyega kadi dhup mein bhi naghma-e-ishq
ab junun mausam-e-barsat pe mat chhodiyega

chashm-e-hairat mein nami rakhiyega wijdan ki bhi
raaz sare hi karamat pe mat chhodiyega

shahr mein rakhiyega kuchh ped lagane ki jagah
ye fariza bhi mazafat pe mat chhodiyega

yar jab dhyan mein aa jae wahin kijiye raqs
jashn ab surat-e-haalat pe mat chhodiyega

be-sabab tut bhi jati hai kabhi baat kahin
dost achchha ho to is baat pe mat chhodiyega

jo bhi hona hai wo ho kar hi rahega 'haidar'
yani dil wahm-o-khayalat pe mat chhodiyega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close