baat jhuti asar khayali hai sarfaroshi ka sar khayali hai kat gai khwab tutne mein umr yani sara safar khayali hai bhai-chaara khulus aashti amn hai sabhi kuchh magar khayali hai jalte rahna charagh-e-shab mere sath hijr bhaari sahar khayali hai aate jate raha karo is par dil mein ek rahguzar khayali hai nange paon koi nahin aata ab to har dopahar khayali hai