ab koi chiz bais-e-rahat nahin mujhe yun zindagi se koi adawat nahin mujhe rahta hun ajnabi sa gul-o-gulsitan mein main rang-o-bahaar se koi raghbat nahin mujhe girti ho jis pe barq tadap kar na ham-nashin us aashiyan se koi bhi nisbat nahin mujhe rah rah ke yaad aati hain teri nawazishen ai chashm-e-naz tujh se shikayat nahin mujhe leta hun chhup ke nam tera hasraton se main phir se machal na jaen ye hasrat nahin mujhe aadat si ho gai hai tadapne ki ai 'nisha' koi bhi hadisa ho qayamat nahin mujhe