chaman ka zikr hi kya husn-e-la-zawal ke baad khayal-e-khuld karen kya tere khayal ke baad khabar nahin mujhe kya un ke qalb par guzri ki sharmsar hua hun main arz-e-haal ke baad na chhod gardish-e-dauran ab ek aalam par koi to haal ho mera shikasta-haal ke baad kuchh aur ho na saki un se guftugu aage ki aa gae the wo sakte mein ek sawal ke baad nigah-o-dil ka hamare bhi hai wahi aalam hua jo tur pe nazzara-e-jamal ke baad hain aks-e-pa-e-nigaran pe sajda-ha-e-mudam utha hi karte hain dast-e-dua hilal ke baad wo aaj sarhad-e-lafz-o-bayan se bahar hai 'nisha' mujhe jo masarrat hui malal ke baad