ab koi silsila nahin baqi doston mein wafa nahin baqi zindagi tujh pe rae kya du main ab koi tabsira nahin baqi waqt-be-waqt kyun baraste hain baadalon mein haya nahin baqi zindagi tujh se aur ladne ka mujh mein ab hausla nahin baqi ranj, uljhan, ghutan, pareshani rog koi raha nahin baqi apni manzil ko chhu liya main ne koi maqsad raha nahin baqi mere dushman ke qalb mein fil-waqt jang ka hausla nahin baqi jit rakkha hai main ne apne ko mujh mein koi ana nahin baqi ashk aankhon mein aa gae hain 'siya' zabt dil par zara nahin baqi