nichi nazron se na dekho sar-e-mahshar dekho dad-khwahon ki taraf aankh utha kar dekho ho ke shamshir-ba-kaf sair ghadi bahr dekho marne walon ki wafa tegh ke jauhar dekho aah kaisi kabhi shikwa bhi tumhaara na kiya aaise hum zabt-e-mohabbat ke hain khugar dekho wada-e-hashr hai parda bhi zamane bhar se koi daman na pakad le sar-e-mahshar dekho un ko dushman se jo ulfat hai to parwa na karo ai 'rasa' tum bhi kisi aur pe mar kar dekho