ab kya bataen tute hain kitne kahan se hum khud ko samette hain yahan se wahan se hum kya jaane kis jahan mein milega hamein sukun naraaz hain zamin se khafa aasman se hum ab to sarab hi se bujhane lage hain pyas lene lage hain kaam yaqin ka guman se hum lekin hamari aankhon ne kuchh aur kah diya kuchh aur kahte rah gae apni zaban se hum aaine se ulajhta hai jab bhi hamara aks hat jate hain bacha ke nazar darmiyan se hum milte nahin hain apni kahani mein hum kahin ghaeb hue hain jab se teri dastan se hum gham bik rahe the mele mein khushiyon ke nam par mayus ho ke laute hain har ek dukan se hum