kidhar ka tha kidhar ka ho gaya hun musafir kis safar ka ho gaya hun khuda us ko sada pur-nur rakkhe main tara jis nazar ka ho gaya hun dhare jaenge sab ilzam mujh par main hissa har khabar ka ho gaya hun mujhe ayyariyan sab aa gai hain main ab tere nagar ka ho gaya hun teri nazron ke ek farman hi se main qaidi umr bhar ka ho gaya hun mujhe ab ishq mitti se nahin hai main aashiq mal-o-zar ka ho gaya hun riwayat chhod baitha hun main apni main dushman apne ghar ka ho gaya hun wo jis ko shaeri kahte hain 'azim' main ghayal us hunar ka ho gaya hun