ab kya bataun main tere milne se kya mila irfan-e-gham hua mujhe apna pata mila jab dur tak na koi faqir-ashna mila tera niyaz-mand tere dar se ja mila manzil mili murad mili muddaa mila sab kuchh mujhe mila jo tera naqsh-e-pa mila khud-bin-o-khud-shanas mila khud-numa mila insan ke bhes mein mujhe aksar khuda mila sargashta-e-jamal ki hairaniyan na puchh har zarre ke hijab mein ek aaina mila paya tujhe hudud-e-tayyun se mawara manzil se kuchh nikal ke tera rasta mila kyun ye khuda ke dhundne wale hain na-murad guzra main jab hudud-e-khudi se khuda mila ye ek hi to neamat-e-insan-nawaz thi dil mujh ko mill gaya to khudai ko kya mila ya zakhm-e-dil ko chhil ke sine se phenk de ya e'tiraf kar ki nishan-e-wafa mila 'simab' ko shagufta na dekha tamam umr kam-bakht jab mila hamein gham-ashna mila