kabhi juda do badan hue to dilon pe ye do azab utre bichhadne wale ki yaad aai milan ke aankhon mein khwab utre badhi hai fikr-e-maash jab se mere khayalon ki wadiyon mein na us ke chehre ka chand ubhra na aarizon ke gulab utre ulajh gaya zindagi ke kante mein ittifaqan hamara daman zamin ke gole pe sair karne ko hum jo khana-kharab utre jinhon ne mangi unhen to di hi gai jahan mein khushi ki daulat baghair mange bhi kahilon par falak se gham be-hisab utre chali jo aandhi to har kali ne jhuka ke sar ko ye iltija ki chaman ke malik hamare rukh se abhi na rang-e-shabab utre