ab kya kahen kisi se ye apni zaban se hum be-zar ho chuke hain fareb-e-jahan se hum nazzara-e-jamal ka aalam ajib tha madhosh o be-khabar the wahan be-zaban se hum ab haal-e-iztirab-e-tabiat na puchhiye tadpe hain umr bhar tere dard-e-nihan se hum ye zor-e-barq-o-baad ye tufan al-aman mahrum ho na jaen kahin aashiyan se hum jin ki mahak se ruh pe tari hai be-khudi wo phul chun rahe hain tere gulistan se hum tamir-e-nau hai parda-e-takhrib mein nihan samjhe hain raaz-e-dahr ye daur-e-jahan se hum manzil pe ho rahi hain qayamat ki shorishen ghafil pade hue hain magar karwan se hum naseh! khayal-e-tark-e-mohabbat se faeda waqif nahin hain kya alam-e-jawedan se hum ai 'naqsh' mukhtasar ye haqiqat hai maut ki phir aa gae wahin pe chale the jahan se hum