agar dil ishq ke anwar se mamur ho jae to phir ye zarra khud rashk-e-charagh-e-tur ho jae tum apne jalwa-e-naukhez par yun naz karte ho agar mera dil-e-khuddar bhi maghrur ho jae faqat is raaz ko ahl-e-mohabbat hi samajhte hain mayassar aae jitna qurb itna dur ho jae mujhe ye zid ki un ke ru-e-zeba se naqab utthe unhen ye zid ki jalwa aur bhi mastur ho jae wo mere dil ke gulshan mein agar aa jae ai 'jauhar' to har ek na-shagufta ghuncha rang-o-nur ho jae