ab kyun harim-e-naz mein sarmastiyan nahin hum wo nahin ki aap mein wo shokhiyan nahin dil hi nahin jo soz-e-junun se tapan nahin kya zindagi jo waqf-e-gham-e-jawedan nahin har-waqt ab to jaib-o-gareban hain chaak chaak ehsas ehtimam-e-bahaar-o-khizan nahin ajza-e-hast-o-bud mohabbat mein kho gae ek wahm hai so us ka bhi koi guman nahin kaunain mere panja-e-wahshat ki zad mein hain mere junun ki qaid makan la-makan nahin go aarzu-e-jurat-e-rindana hai magar hasil ba-qadr zauq ma-e-arghawan nahin main paemal-e-wada-e-farda zarur hun lekin fareb-khurda-e-naz-e-butan nahin ifsha-e-raaz-e-ishq ka azm-e-buland hai 'mazhar' ab aur taqat-e-zabt-e-fughan nahin