mere dil mein us ne aise tera khayal dala kore libas par ho jaise gulal dala kisi samt bhi tu rahta hargiz mera na hota tera nam likh ke sikka phir bhi uchhaal dala main zamin se aasman ki har had ke par pahunchi tah tak tha teri jaana sab kuchh khangal dala ek pal mein dekh teri taswir ban gai jab kisi aarzu mein la kar thoda malal dala us ne jawab mein kuchh tare gira diye the main ne aasman ko jab jab koi sawal dala