ab laut ke wapas mujhe jaana bhi nahin hai wo ruth gaya hai to manana bhi nahin hai sach hai ki nigahon se girana bhi nahin hai palkon pe magar us ko bithana bhi nahin hai daman pe koi dagh lagana bhi nahin hai daman ko gunahon se bachana bhi nahin hai ghairat ki koi kis tarah ummid rakhe ab sab jaante hain ab wo zamana bhi nahin hai tamil kisi hukm ki hargiz na karenge aur pesh-e-sitam sar ko jhukana bhi nahin hai ek bar chala jae jo daman ko chhuda kar bhule se kabhi us ko bulana bhi nahin hai barsat ne ye hukm hawaon ko diya tha hai aag jahan par wahan jaana bhi nahin hai par aankh se tapkaen lahu kis liye 'shatir' jab ahd-e-wafa hum ko nibhana bhi nahin hai