hum un se tut kar milte hain mil kar tut jate hain tamasha hai ki shishe se bhi patthar tut jate hain main hun wo sakht-jaan hai jis ki jurat itni mustahkam mere sine tak aate aate khanjar tut jate hain jo rishte hote hain qaem faqat matlab-parasti par wahi rishte yaqinan khud hi aksar tut jate hain jafa ahl-e-wafa par karke jab ehsas hota hai wahin dil-soz-o-dil-azar dilbar tut jate hain kabhi aandhi se titli ko bhi jumbish kuchh nahin hoti kabhi shahin ke mazbut shah-par tut jate hain nazar aakhir nazar hai kaam kar jati hai pal bhar mein haqiqat aainon ki kya hai patthar tut jate hain tere ashaar mein wo soz hai wo dard hai pinhan tere ashaar sun kar hum to 'anwar' tut jate hain