ab main hun aur ek zat hai jalwe hain na parde

ab main hun aur ek zat hai jalwe hain na parde
ai kash khuda sab ko ye taufiq-e-nazar de

ai khaliq-e-gham mujh ko wahi dida-e-tar de
in khak ke zarron ko bhi jo tab-e-guhar de

uthti hai sada dil se to kho jata hun khud mein
deta hai kise kaun sada koi khabar de

us sham-e-judai ke tasadduq mah-o-anjum
jis sham-e-judai ko khud aawaz sahar de

khud hasil-e-mai-khana-e-kaunain jo ban jae
ya-rab mujhe wo tishnagi-e-fikr-o-nazar de

wan husn ko ye shauq ki parda rahe qaem
yan ishq ko ye dhun mujhe apna hi sa kar de

ai husn ba-yak-waqt tera jalwa-o-parda
ye raaz koi ahl-e-junun fash na kar de

har zarra-e-alam ne diya dars ye mujh ko
jo hamil-e-jalwa hain wahi hain tere parde

aankhon ko to bakhshi hai zaban tu ne gham-e-ishq
ab zauq-e-samaat ko bhi ehsas-e-nazar de

ye rah-e-mohabbat hai qadam uth nahin sakte
jab tak unhen manzil hi na khud izn-e-safar de

har rang ki saqi tere maikhane mein pi li
ab to mera saghar mai-e-be-rang se bhar de

ai kash 'bashir' aap ko hasil ho ye nisbat
har tar-e-nafas tar-e-rag-e-jaan ki khabar de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close