ab mariz-e-ishq ko kaisa thikana chahiye aatish-e-dil ko hawa par aashiyana chahiye lag gain hain daw par sansen bisat-e-ishq mein us taraf ya is taraf tai ho hi jaana chahiye ruh ko teri zarurat is qadar hai jaan-e-jaan zist ke khatir zaruri aab-o-dana chahiye din dhale hi laut aate hain parinde shakh par ho gai ab raat tujh ko laut aana chahiye ab thakan tak ja chuki hain hasraten didar ki khushk aankhon mein 'suman' dariya samana chahiye