abhi hijr daman mein utra nahin hai magar wasl ka bhi to charcha nahin hai abhi dhup aangan mein khul ke na aai abhi raat se rabt tuta nahin hai khabar tere aane ki jis din mili thi usi din se khidki pe parda nahin hai ana ko liye kab se baitha hai dariya jagah se samundar bhi hilta nahin hai nadi aas mein sukh jaegi ek din ye nadan baadal barasta nahin hai gaya zist ka aakhiri mod kah kar kisi ke liye waqt thahra nahin hai wahan ishq ka panw padta hai aksar jahan se 'suman' aage rasta nahin hai