ab maut se bachae kahan zist kya majal phaile hue hain jism mein nili ragon ke jal yun to nahin ki umr ganwai hai dhup mein phabti si kas rahe hain ye sar ke safed baal mohlat kise mile hai yahan lab-kushai ki aankhon mein nach nach ke thakte rahe sawal malbus to badan se kabhi ka utar chuka tab lutf aae jism se khinch jae aur khaal 'sarshaar' aao dekhen to ye kaun shakhs hai ek hath mein kitab hai ek hath mein kudal