bar-sar-e-dard zamane ka bhi socha jae phir naya qarz uthane ka bhi socha jae samne chand hai par aur koi chaara nahin chashm-e-namnak churane ka bhi socha jae hiddat-e-husn-e-nazar se bhi bacha kar khud ko ishq mein risk uthane ka bhi socha jae khwab se lipti hue yaad ke sada lamho dard ke hath na aane ka bhi socha jae ishq to yar adaon ko nigal jata hai husn-e-bebak bachane ka bhi socha jae cigareten phunk ke kuchh jam chadha kar jaanan kuchh tera hijr manane ka bhi socha jae